Ghazanfar

KHala ke dasht se ab rishta apna qata karun

Ghazanfar

Gopal Ganj, Bihar, India

1953
ḳhalā ke dasht se ab rishta apnā qat.a karūñ
safar tavīl hai behtar hai ghar ko lauT chalūñ
buland hotā hai jab jab bhī shor nāloñ kā
ḳhayāl aatā hai dil meñ ki maiñ bhī chīḳh paḌūñ
tumhāre hote hue log kyuuñ bhaTakte haiñ
kahīñ pe ḳhizr nazar aa.e to savāl karūñ
ma.aal jo bhī ho jis tarah bhī kaTe ye umr
tumhāre naaz uThā.ūñ tumhāre rañj sahūñ
adhūrī an-kahī be-rabt dāstān-e-hayāt
lahū se likh nahīñ saktā to āñsuoñ se likhūñ
Top Urdushayar.com