sajā ke zehn meñ kitne hī ḳhvāb so.e the
khulī jo aañkh to ḳhud se lipaT ke ro.e the
chahār samt bas ik be-karāñ samundar hai
batā.eñ kyā ki safīne kahāñ Dubo.e the
tahoñ meñ ret ubaltī hai kyā patā thā hameñ
zamīñ samajh ke zamīnoñ meñ biij bo.e the
siyāh raat meñ bachche kī tarah chauñk paḌe
tamām din jo ujāloñ se lag ke so.e the
ajiib baat hamārā hī ḳhuuñ huā paanī
hamīñ ne aag meñ apne badan bhigo.e the
hamāre haath se vo bhī nikal gayā āḳhir
ki jis ḳhayāl meñ ham muddatoñ se kho.e the