yaqīn jāniye is meñ koī karāmat hai
jo is dhueñ meñ mirī saañs bhī salāmat hai
nazar bhī haal mire dil kā kah nahīñ paatī
zabāñ kī tarah mirī aañkh meñ bhī luknat hai
jo ho rahā hai use dekhte raho chup chaap
yahī sukūn se jiine kī ek sūrat hai
maiñ us ke jhuuT ko bhī sach samajh ke suntā huuñ
ki us ke jhuuT meñ bhī zindagī kī quvvat hai
ye kis kī aañkh Tikī hai udaas manzar par
ye kaun hai ki jise dekhne kī fursat hai
koī ba.iid nahīñ ye bhī ishtihār chhape
hamāre shahr meñ jallād kī zarūrat hai
sipar tamām badan ke havās Daal chuke
bas ek aañkh hai jis meñ abhī baġhāvat hai
dil-o-dimāġh meñ rishta nahīñ jahāñ koī
ik aise jism meñ jiinā hamārī qismat hai
kahīñ bhī jaa.eñ sazā.eñ hameñ hī milnī haiñ
adālatoñ kī hamārī ajiib hikmat hai
hamāre biich ye uqda na khul sakā ab tak
kise visāl kise hijr kī zarūrat hai
usī ko sauñp diyā ham ne munsifī kī zamām
ki jis ke ḳhvāb meñ bhī aks-e-ġhāsbiyyat hai