Ghazanfar

dard ki kaun si manzil se guzarte honge

Ghazanfar

Gopal Ganj, Bihar, India

1953
dard kī kaun sī manzil se guzarte hoñge
ḳhvāb ke paañv zamīnoñ pe utarte hoñge
ham ki marbūt hue aur shikasta ho kar
TuuT kar kaise bhalā log bikharte hoñge
ham ki sāhil ke tasavvur se sahm jaate haiñ
log kis tarah samundar meñ utarte hoñge
jaane kyā sochtī hoñgī vo añdherī rāteñ
chāñd jab un kī nigāhoñ meñ ubharte hoñge
tum jhulaste ho chaTānoñ pe magar jaane do
kitne hī log makānoñ meñ sañvarte hoñge
Top Urdushayar.com