rafta rafta āñkhoñ ko hairānī de kar jā.egā
ḳhvāboñ kā ye shauq hameñ vīrānī de kar jā.egā
dekh ke sar par gahrā bādal ḳhushk nigāheñ kahtī haiñ
aaj hameñ ye abr yaqīnan paanī de kar jā.egā
kuchh Thahrāv to be-shak us se mere ghar meñ aayā hai
lekin ik din mujh ko vo tuġhyānī de kar jā.egā
aa.egā to ik do pal mehmān rahegā āñkhoñ meñ
jā.egā to ik qissa tūlānī de kar jā.egā
kāġhaz ke ye phuul bhī apne chehroñ ko faq pā.eñge
ab ke mausam in ko bhī hairānī de kar jā.egā
ḳhush-manzar pe aañkh jamā.e baiThe haiñ ki lagtā hai
rañg koī be-rañg nazar ko dhānī de kar jā.egā