kisī ke narm taḳhātub pe yuuñ lagā mujh ko
ki jaise saare masā.il kā hal milā mujh ko
kisī maqām pe vo bhī bichhaḌ ga.ī mujh se
nigāh-e-shauq jo detī thī hausla mujh ko
ki ham-safar ko samajhne lagā ḳhizar apnā
zarūratoñ ne kuchh aisā safar diyā mujh ko
tamām log hī dushman dikhā.ī dete haiñ
koī batā.e ki āḳhir ye kyā huā mujh ko
maiñ terī car kā ukhḌā huā koī purza
sukūñ talab hai to merī jagah pe lā mujh ko
mirā vajūd bhī qaqnus se kam nahīñ hai miyāñ
yaqīñ na aa.e to puurī tarah jalā mujh ko
maiñ aisā narm tabī.at kabhī na thā pahle
zarūr lams koī us kā chhū gayā mujh ko
maiñ chaah kar bhī tujhe qatl kar na pā.ūñgā
ye kis kā de diyā tū ne bhī vāsta mujh ko