ye tamannā nahīñ ki mar jaa.eñ
zinda rahne magar kidhar jaa.eñ
aisī dahshat ki apne sāyoñ ko
log dushman samajh ke Dar jaa.eñ
vo jo pūchhe to dil ko Dhāras ho
vo jo dekhe to zaḳhm bhar jaa.eñ
bach ke duniyā se ghar chale aa.e
ghar se bachne magar kidhar jaa.eñ
ik ḳhvāhish hai jism se mere
jald se jald bāl-o-par jaa.eñ
ab ke lambā bahut safar in kā
in parindoñ ke par katar jaa.eñ
sochte hī raheñge ham shāyad
vo balā.eñ to un ke ghar jaa.eñ