shikasta-pā.iyāñ haiñ jān-o-dil bhī chuur haiñ saaqī
hamīyat ke kaleje meñ baḌe nāsūr haiñ saaqī
idhar ġhairat kī ḳhushkī hai na gūlar hai na berī hai
magar jis samt chamche haiñ udhar añgūr haiñ saaqī
taqarrub-hā-e-afsar hai na aish-e-murġh-o-māhī hai
abhī daftar ke aane par bhī ham majbūr haiñ saaqī
sabhī māsūm-o-sādiq lā.eq-e-tāzīr ho baiThe
tirī sarkār ke kaise ajab dastūr haiñ saaqī
ḳhudī kī pāsdārī meñ sukūn-e-jāñ gañvā baiThe
bayābāñ meñ bhaTakte haiñ chaman se duur haiñ saaqī
siyah halqe haiñ āñkhoñ meñ siyāhī ruḳh pe bikhrī hai
vufūr-e-dard se ghar meñ sabhī lañgūr haiñ saaqī