Tabassum Rizvi

ashkon ke guhar yun sar-e-mizhgan bhi na tolen

Tabassum Rizvi

ashkoñ ke guhar yuuñ sar-e-mizhgāñ bhī na toleñ
in āñkhoñ se kah do ki abhī raaz na kholeñ
taskīn-e-dil-o-jāñ kī to nikle koī sūrat
is neza-e-mizgāñ kī anī dil chubho leñ
āñkhoñ se kareñ kyā tunak aabī kī shikāyat
dil hī ke lahū se kabhī palkoñ ko bhigo leñ
chāhat to har ik baat se zāhir hai ab un kī
har chand zabāñ se na kaheñ muñh se na boleñ
qismat meñ agar tum se bichhaḌnā hī likkhā hai
ik baar tumheñ apne se lipTā ke to ro leñ
Top Urdushayar.com