qudrat kā sarsabz bichhaunā achchhā lagtā hai
khulī fazā meñ ghaas pe sonā achchhā lagtā hai
shaam Dhale jab shāḳh pe chiḌiyāñ naġhme gaatī haiñ
mujh ko tere saath meñ honā achchhā lagtā hai
har ek chiiz jo apnī jagah par sajī sajā.ī ho
ḳhud hī ghar kā konā konā achchhā lagtā hai
tum kyā jaano rah rah kaise paate haiñ manzil
tum ko to bas ḳhvāb salonā achchhā lagtā hai
mere gaañv ke log bhī kitne bhole-bhāle haiñ
aaj bhī un ko jādū-Tonā achchhā lagtā hai