Faizul Amin Faiz

mali ko sazishon pe yun uksa diya gaya

Faizul Amin Faiz

West Bengal, India

1979
maalī ko sāzishoñ pe yuuñ uksā diyā gayā
kaliyāñ baneñ na phuul ye samjhā diyā gayā
sach bolne kī jis ne jasārat kī dosto
phāñsī pe ek din use laTkā diyā gayā
manzil mire nasīb meñ likh dī ga.ī magar
pur-pech rāsta mujhe dikhlā diyā gayā
ḳhud ko samajh rahe haiñ vahī log hoshiyār
jin ko ḳhirad kī raah se bhaTkā diyā gayā
phir mai-kade meñ TuuT ga.ī tauba shaiḳh kī
jab muft meñ sharāb kā pyālā diyā gayā
baapū ne jo diyā thā sabaq yaad hai hameñ
phir zahr kyoñ samāj meñ phailā diyā gayā
mahñgā.ī 'faiz' chhūne lagī hai ab āsmān
dillī ke taḳht par kise baiThā diyā gayā
Top Urdushayar.com