kisī se bhī nahīñ ham sabr kī talqīn lete haiñ
hameñ miltī nahīñ jo chiiz us ko chhīn lete haiñ
buḌhāpā aa gayā lekin nahīñ badlā mizāj un kā
abhī tak kapḌe vo apne liye rañgīn lete haiñ
faqīroñ ko kabhī dar se na ḳhālī lauTne denā
duā.eñ dete haiñ ḳhairāt jab miskīn lete haiñ
vo saare log ranj-o-ġham se pā jaate haiñ āzādī
jo sub.h-o-shām vird-e-sūra-e-yāsīn lete haiñ
tumheñ hairat hai kyoñ ahal-e-filistīñ kī shujā.at par
yazīdoñ se sadā lohā to ahl-e-dīn lete haiñ