badal rahā hai zamāna to mere Theñge se
hai merā taur purānā to mere Theñge se
jo chaar paise haiñ muTThī meñ bas vo mere haiñ
hai tere paas ḳhazāna to mere Theñge se
kabhī lakīr kā bantā nahīñ faqīr vo shaḳhs
use na maano siyānā to mere Theñge se
mirī kahānī haqīqat pe munhasir hai magar
tujhe lage hai fasāna to mere Theñge se
tirī pasand se miltī nahīñ pasand mirī
yahī hai ek bahāna to mere Theñge se
adū se karnā hai saarā hisāb chuktā 'faiz'
agar vo jā.egā thāna to mere Theñge se