baaqī hai ummīd zarā sī
ai parda-var diid zarā sī
jin meñ zehānat thī vo karte
kyoñ andhī taqlīd zarā sī
maiñ bīmār-dil bach jaatā
kar dete tākīd zarā sī
aur bhī tāza-dam kartī hai
fan ko mire tanqīd zarā sī
duniyā bhar ke kufr pe tanhā
haavī hai tauhīd zarā sī
dil kī sunūñgā lekin pahle
aql kare tā.īd zarā sī
'faiz' jo tīsoñ roza rakkhe
kyoñ vo manā.eñ iid zarā sī