toltā kyā mujh ko koī jauharī mīzān meñ
maiñ thā merā aur paḌā thā ko.ele kī kaan meñ
tum se to hotā nahīñ hai e'tirāf-e-fan mirā
chand jumle maiñ hī kahtā huuñ tumhārī shaan maiñ
barsar-e-paikār us ko dekh kar sab shaad the
jā lagā sāhil se vo tinkā magar tūfān meñ
saj rahī haiñ phir siyāsī manDiyāñ chāroñ taraf
dekhnā tabdīl hogā shahr qabristān meñ
ishq meñ sahrā-navardī raas kyā aatī mujhe
vo thā koī aur jo phirtā thā registān meñ
'faiz' ye mujh ko yaqīñ hai sāzishoñ ke bāvajūd
phūltī phaltī rahegī urdu hindostān meñ