Faizul Amin Faiz

kisi aaseb ka saya hai is par log kahte hain

Faizul Amin Faiz

West Bengal, India

1979
kisī aaseb kā saaya hai is par log kahte haiñ
paḌā rahtā hai vo hujre ke andar log kahte haiñ
mirī bastī meñ ik buḌhiyā hai jo sach-much kī Daa.in hai
vo khā jaatī hai bachchoñ ko pakaḌ kar log kahte haiñ
har ik rishta yahāñ qaa.em hai bas matlab parastī par
zamāne meñ yahī raa.ij hai culture log kahte haiñ
muazziz shaḳhsiyat hai shahr kā ab nāmvar ġhunda
ki ban baiThā hai vo pārTī kā leader log kahte haiñ
sabaq letā hai jo bhī ḳhāmiyoñ se apne maazī kī
vahī jaatā hai mustaqbil meñ uupar log kahte haiñ
ta.alluq hai mirā bas dostī kī had talak us se
ġhalat bāteñ hī lekin kyoñ barābar log kahte haiñ
shikasta naav le kar 'faiz' nikle ho samundar meñ
tumhārā Duub jaanā hai muqaddar log kahte haiñ
Top Urdushayar.com