aisā manzar to kabhī dekhā na thā
raushnī meñ bhī mirā saaya na thā
pyaar ke bādal to guzre the magar
dil ke sahrā meñ koī barsā na thā
umr-bhar paḌhtā rahā aisā bhī ḳhat
tū ne mere naam jo likkhā na thā
jism kī dīvār ik thī darmiyāñ
maiñ ne pā kar bhī tujhe paayā na thā
yuuñ to shabnam thā magar ai dosto
maiñ kisī bhī phuul par bikhrā na thā
maut siine se lagā lene ko hai
zindagī ne haal tak pūchhā na thā
ik hujūm-e-mah-vashāñ thā bazm meñ
bas vahī ik chāñd kā TukḌā na thā