Syed Agha Ali Mehr

sine mein aag aankh su-e-dar lagi rahe

Syed Agha Ali Mehr

siine meñ aag aañkh sū-e-dar lagī rahe
kaam intizār-e-yār meñ ai dil yahī rahe
pahlū ke saath chāk-e-jigar bhī zarūr hai
ḳhanjar ke saath ek qaraulī lagī rahe
dāvat mah-e-siyām kī lāzim hai zāhido
das biis roz mashġhala-e-mai-kashī rahe
ai tifl Dar hai chashm-e-bad-e-pīr-e-charḳh kā
haikal zarūr tere gale meñ paḌī rahe
so lutf-e-vasl uThā.eñge ik aur le ke niiñd
ehsān hai jo murġh-e-sahar chup abhī rahe
tiin āsmānoñ se nahīñ chhuptā hai āftāb
kab ik naqāb se tirī sūrat chhipī rahe
aao na mere ghar to na jaao kisī ke ghar
merī ḳhushī rahe na tumhārī ḳhushī rahe
sone ke vaqt ai gul-e-tar itr kyā zarūr
terī galī meñ raat ko champā-kalī rahe
hukm-e-sharāb de to duā duuñ ki ai faqīh
mastoñ ke haath se tirī izzat bachī rahe
ye ġharra-e- se vafūr-e-sharāb ho
ḳhālī ke ba.ad tak bhī tabī.at bharī rahe
ḳhālī na koī sher ho bandish ke nuur se
ai 'mehr' ālam-e-ġhazal-e-'anvarī' rahe
Top Urdushayar.com