ham ne jo us kī midhatoñ se kaan bhar diye
goyā ki kaan laal kiyā kaan bhar diye
kyā kyā jafā.eñ us but-e-bad-kesh kī kahūñ
majlis meñ saikḌoñ hī musalmān bhar diye
ma.amūr ho gayā tirī dāvat se sab makāñ
itr aur paan phuul se dālān bhar diye
ḳhālī latāfatoñ se talavvun tirā nahīñ
sān.e.a ne tujh meñ rañg sab ai jaan bhar diye
ai 'mehr' husn-e-lutf-e-mazāmīñ kuchh aur hai
yuuñ to sabhoñ ne sheroñ se dīvān bhar diye