Syed Agha Ali Mehr

rangat use pasand hai ai nastaran safed

Syed Agha Ali Mehr

rañgat use pasand hai ai nastaran safed
pahne na kyuuñ vo rashk-e-chaman pairahan safed
bhātā hai us ko shīr-o-shakar kā talāzma
rakhtā hai apne daañt vo shīrīñ-dahan safed
baiThe haiñ gird sīmtanān-e-safed-posh
us māhtāb kī hai tamām anjuman safed
hai be-hinā bhī panja-e-nāzuk par ik bahār
hote haiñ ba.az ba.az gul-e-nāravan safed
maiñ rañg-e-chashm-e-vahshī-e-jānāñ se tañg huuñ
aadhā hiran siyāh hai aadhā hiran safed
rañgīni-e-libās se ahl-e-fanā ko kyā
hai ibtidā-e-dahr se raḳht-e-kafan safed
Top Urdushayar.com