Syed Agha Ali Mehr

nahin do qubba-e-pistan shoKH-o-shang sine par

Syed Agha Ali Mehr

nahīñ do qubba-e-pistān shoḳh-o-shañg siine par
nazar aate haiñ mīnā-e-mai-e-gul-rañg siine par
nahīñ rakhe haiñ tū ne har tarah ke phuul añgiyā meñ
javāhar ye nazar aate haiñ rañgā-rañg siine par
nahīñ lauh-e-mazār-e-raftgān-e-shahr-e-ḳhāmoshāñ
ġham-e-furqat kā rakh kar so rahe haiñ sañg siine par
numūd jism kā us sīm-tan ko hai ḳhayāl itnā
ki ḳhush rahtā hai ḳhayyātoñ se kapḌe tañg siine par
ḳhudā ke fazl se shauq-e-luġhat hai 'mehr' ko itnā
dhare rahte haiñ pahroñ nusḳha-e-farsañg siine par
Top Urdushayar.com