sāqiyā ho garmi-e-sohbat zarā barsāt meñ
kyā hī ThanDī ThanDī chaltī hai havā barsāt meñ
rakh ke ai saaqī ḳhum-e-mai meñ bahā denā mujhe
bāda-kash huuñ aa.egī merī qazā barsāt meñ
merī aaheñ haiñ dalīl-e-girya-e-be-intihā
jitnī āñdhī aa.e bārish ho sivā barsāt meñ
pāñch ye mere havās-e-ḳhamsa haiñ do jism-o-jāñ
ishq ne taqsīm paa.ī hai barābar saat meñ
kab tumhārī raah dekheñ phuul ho kis fazl ke
aaoge garmī meñ yā jaaḌe meñ yā barsāt meñ
abr dariyā sabza saaqī yaar mutrib duḳht-e-raz
'mehr' hai in saat chīzoñ kā mazā barsāt meñ