jab kabhī hoñge to ham mā.il-e-ġham hī hoñge
aise dīvāne bhī is daur meñ kam hī hoñge
ham to zaḳhmoñ pe bhī ye soch ke ḳhush hote haiñ
tohfa-e-dost haiñ jab ye to karam hī hoñge
bazm-e-ālam meñ jab aa.e haiñ to baiTheñ kuchh aur
bas yahī hogā nā kuchh aur sitam hī hoñge
jab bhī barbād-e-vafā koī nazar aa.e tumheñ
ġhaur se dekh liyā karnā vo ham hī hoñge
koī bhaTkā huā bādal koī uḌtī ḳhushbū
kaun kah saktā hai ik din ye baham hī hoñge