koī sanam to ho koī apnā ḳhudā to ho
is dasht-e-be-kasī meñ koī aasrā to ho
kuchh dhuñdle dhuñdle ḳhvāb haiñ kuchh kāñpte charāġh
zād-e-safar yahī hai kuchh is ke sivā to ho
sūraj hī jab na chamke to pighlegī barf kyā
ban jaa.eñ vo bhī mom magar dil dukhā to ho
har chehra maslahat kī naqāboñ meñ kho gayā
mil baiTheñ kis ke saath koī āshnā to ho
ḳhāmosh pattharoñ kī tarah kyuuñ huā hai shahr
dhaḌkan diloñ kī gar nahīñ āvāz-e-pā to ho
baaqī hai ek dard kā rishta so vo bhī ab
kis se nibhā.eñ ham koī dard-āshnā to ho