Bashar Nawaz

roz kahan se koi naya-pan apne aap mein laenge

Bashar Nawaz

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-2015
roz kahāñ se koī nayā-pan apne aap meñ lā.eñge
tum bhī tañg aa jāoge ik din ham bhī uktā jā.eñge
chaḌhtā dariyā ek na ik din ḳhud hī kināre kāTegā
apne hañste chehre kitne tūfānoñ ko chhupā.eñge
aag pe chalte chalte ab to ye ehsās bhī kho baiThe
kyā hogā zaḳhmoñ kā mudāvā dāman kaise bachā.eñge
vo bhī koī ham hī sā ma.asūm gunāhoñ kā putlā thā
nāhaq us se laḌ baiThe the ab mil jaa.e manāeñge
is jānib ham us jānib tum biich meñ haa.il ek alaav
kab tak ham tum apne apne ḳhvāboñ ko jhulsā.eñge
sarmā kī rut kaaT ke aane vaale parindo ye to kaho
duur des ko jaane vaale kab tak lauT ke ā.eñge
tez havā.eñ ā.ankhoñ meñ to ret dukhoñ kī bhar hī ga.iiñ
jalte lamhe rafta rafta dil ko bhī jhulsā.eñge
mahfil mahfil apnā ta.alluq aaj hai ik mauzū-e-suḳhan
kal tak tark-e-ta.alluq ke bhī afsāne ban jā.eñge
Top Urdushayar.com