Bashar Nawaz

ba-har-unwan mohabbat ko bahaar-e-zindagi kahiye

Bashar Nawaz

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-2015
ba-har-unvāñ mohabbat ko bahār-e-zindagī kahiye
qarīn-e-maslahat hai us ke har ġham ko ḳhushī kahiye
jahāñ-sāzoñ ko farzāna ham ahl-e-dil ko dīvāna
zamāna to bahut kahtā rahā ab aap bhī kahiye
ba-unvān-e-digar phir ham se qaa.em kar liyā tum ne
vo ik gahrā ta.alluq jis ko tark-e-dostī kahiye
samajh kar sañg-e-rāh-e-shauq Thukrātā huuñ manzil ko
kamāl-e-āgahī kahiye ise yā gumrahī kahiye
shab-e-mahtāb meñ akasr fazāoñ se barastā hai
tilism-e-naġhmagī aisā ki jis ko ḳhāmushī kahiye
maiñ akasr sochtā huuñ terī be-pāyāñ navāzish ko
adā-e-ḳhās kahiye koī yā bas sādgī kahiye
bharī mahfil se bhī tishna hī lauT aa.ī nazar apnī
ḳhud-āgāhī samajh liije ise yā ḳhud-sarī kahiye
Top Urdushayar.com