Bashar Nawaz

aks har roz kisi gham ka paDa karta hai

Bashar Nawaz

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-2015
aks har roz kisī ġham kā paḌā kartā hai
dil vo ā.īna ki chup-chāp takā kartā hai
bahte paanī kī tarah dard kī bhī shakl nahīñ
jab bhī miltā hai nayā ruup huā kartā hai
maiñ to bahrūp huuñ us kā jo hai mere andar
vo koī aur hai jo mujh meñ jiyā kartā hai
rañg sā roz bikhar jaatā hai dīvāroñ par
kuchh diye jaisā darīche meñ jalā kartā hai
jaane vo kaun hai jo raat ke sannāTe meñ
kabhī rotā hai kabhī ḳhud pe hinsā kartā hai
roz rāhoñ se guzartā hai sadāoñ kā julūs
dil kā sannāTā magar roz baḌhā kartā hai
Top Urdushayar.com