dil ke har dard ne ash.ār meñ Dhalnā chāhā
apnā pairāhan-e-be-rañg badalnā chāhā
koī an-jānī sī tāqat thī jo aaḌe aa.ī
varna ham ne to bahar-gām sambhalnā chāhā
chāhte to kisī patthar kī tarah jī lete
ham ne ḳhud mom kī mānind pighalnā chāhā
āñkheñ jalne lagīñ tapte hue bāzāroñ meñ
dil ne jab bhī kisī manzar pe machalnā chāhā
sirf ham hī nahīñ har ek ne jiine ke liye
ik na ik jhūTe sahāre se bahalnā chāhā
kaun hai ye jo sisaktā hai mire siine meñ
kaun hai jis ne mire ḳhuun pe palnā chāhā