bāzār-e-zindagī meñ jame kaise apnā rañg
haiñ mushtarī ke taur na byopārīyoñ ke Dhañg
muddat se phir rahā huuñ ḳhud apnī talāsh meñ
har lamha laḌ rahā huuñ ḳhud apne ḳhilāf jañg
ik naam lauh-e-zehn se miTtā nahīñ hai kyuuñ
kyuuñ āḳhir is pe vaqt chaḌhātā nahīñ hai rañg
us se alag bhī umr to kaT hī ga.ī magar
ek ek pal ke bojh se dukhtā hai añg añg
shāḳh-e-nihāl-e-zehn pe ḳhvāboñ ke phuul the
hotā na apnā dast-e-junūñ kaash zer-e-sañg
āvāz ke hisār meñ dil ab bhī qaid hai
māñge hai ab bhī pairahan-e-lafz har umañg
kuchh tajraba bhī ab to zamāne kā ho gayā
kuchh dal ke bachpane se bhī ham aa ga.e haiñ tañg
kūcha-ba-kūcha phirte haiñ ab is tarah 'bashar'
bhaTke hai jaise haath se TuuTī huī patañg