ghaTtī baḌhtī raushniyoñ ne mujhe samjhā nahīñ
maiñ kisī patthar kisī dīvār kā saayā nahīñ
jaane kin rishtoñ ne mujh ko bāñdh rakkhā hai ki maiñ
muddatoñ se āñdhiyoñ kī zad meñ huuñ bikhrā nahīñ
zindagī biphre hue dariyā kī koī mauj hai
ik daf.a dekhā jo manzar phir kabhī dekhā nahīñ
har taraf bikhrī huī haiñ ā.īne kī kirchiyāñ
reza reza aks haiñ sālim koī chehrā nahīñ
kahte kahte kuchh badal detā hai kyuuñ bātoñ kā ruḳh
kyuuñ ḳhud apne-āp ke bhī saath vo sachchā nahīñ