kisī ne phir se lagā.ī sadā udāsī kī
palaT ke aane lagī hai fazā udāsī kī
bahut uḌegā yahāñ par fasurdagī kā ġhubār
ki phir se chalne lagī hai havā udāsī kī
zamīn-e-dil pe mohabbat kī āb-yārī ko
bahut hī TuuT ke barsī ghaTā udāsī kī
nazar nazar meñ udāsī dikhā.ī dene lagī
nagar nagar meñ hai phailī vabā udāsī kī
kisī tabīb kisī chārāgar ke paas nahīñ
koī ilaaj koī bhī davā udāsī kī
koī ilaaj nahīñ hai to phir duā hī kareñ
ki chhoḌ jaa.e hameñ ye balā udāsī kī
ai āftāb ye aalam tirā ġhurūb ke vaqt
sikhā.ī kis ne tujhe ye adā udāsī kī
zamīn-zādoñ ko virsa milā hai aadam se
huī thī ḳhuld se hī ibtidā udāsī kī
ye tere dil se tirī ruuh meñ utar jaa.e
bichhaḌne vaale ne dī thī duā udāsī kī
ye dil kā kaasa abhī ḳhaam hai ai kūza-gar
tū aur aañch pe us ko tapā udāsī kī