Shahida Majeed

de raha hai samar udasi ka

Shahida Majeed

Lahore, Punjab, Pakistan

1980
de rahā hai samar udāsī kā
mere dil meñ shajar udāsī kā
puure tan ko banā ke miTTī se
dil banāyā magar udāsī kā
mujh se ik baar tū sabab to pūchh
ai mire be-ḳhabar udāsī kā
tū mudāvā na kar sakegā kabhī
ai mire chārāgar udāsī kā
aañkh vīrāñ hai zehn gum-sum hai
aur dil hai nagar udāsī kā
shā.irī be-sabab nahīñ utrī
ye bhī hai ik samar udāsī kā
kaif-āvar thā ibtidā meñ ishq
aur baaqī safar udāsī kā
pahle tum the makīñ magar ab to
dil hai muddat se ghar udāsī kā
kaa.ī jamne lagī hai manzar par
ye huā hai asar udāsī kā
hijr kī shab kā chāñd aisā thā
jaise bū nāma-bar udāsī kā
aañkh se uḌ gayā hai tā.ir-e-naum
ḳhvāb meñ thā guzar udāsī kā
Top Urdushayar.com