jo gir jā.ūñ sambhalnā jāntī huuñ
havādis se nimaTnā jāntī huuñ
shikast-e-ā.ina tak baat pahuñche
maiñ is darja sañvarnā jāntī huuñ
hai merī sādgī meñ husn aisā
tire dil meñ utarnā jāntī huuñ
bharosa rakhnā tum merī vafā par
maiñ añgāroñ pe chalnā jāntī huuñ
nahīñ qaa.il maiñ hargiz ḳhud-kushī kī
magar maiñ tujh pe marnā jāntī huuñ
huuñ paanī kī tarah fitrat meñ apnī
maiñ har sāñche meñ Dhalnā jāntī huuñ
biphar jā.ūñ to jaise lahar koī
chaTānoñ se bhī laḌnā jāntī huuñ
junūñ ban kar jo Takrā.ūñ ḳhirad se
hadoñ se bhī guzarnā jāntī huuñ
duā-e-nūr paḌh letī huuñ aksar
balāoñ se nimaTnā jāntī huuñ
mujhe ye bhī hunar aatā hai jānāñ
tirī qismat badalnā jāntī huuñ
siyāsat chhoḌ dī hai maiñ ne varna
maiñ terā taḳht ulaTnā jāntī huuñ
bhulā detī huuñ aksar ranjishoñ ko
kahāñ tujh se maiñ laḌnā jāntī huuñ
vafā tū ne nahīñ kī mujh se lekin
tujhe maiñ ab bhī apnā jāntī huuñ
tire dil par jo apnā haath rakh duuñ
maiñ terā dil badalnā jāntī huuñ