charāġh-e-shām thā din bhar bujhā rahā koī
ġhurūb shams ke hote hī jal gayā koī
bayān kar nahīñ saktā kabhī mahāsin-e-ishq
koī radīf ġhazal meñ na qāfiya koī
rafāqatoñ meñ ajab tarz-e-ajnabiyyat thā
ki saath rah ki bhī ham se rahā judā koī
ye rañg dard ke aate nahīñ suḳhan meñ yūñhī
nihāl-e-dil pe mire zaḳhm hai khulā koī
mire safar meñ mirī ham-safar hai tanhā.ī
ki do qadam na mire saath chal sakā koī
na ain par hī rukī shiin pe na qaaf pe hī
tumhārī yaad kī manzil na intihā koī