Shahnaz Parveen Sahar

aansu gira to kanch ka moti bikhar gaya

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
aañsū girā to kāñch kā motī bikhar gayā
phir sub.h tak dupaTTā sitāroñ se bhar gayā
maiñ chunarī DhūñDhtī rahī aur itnī der meñ
darvāze par khaḌā huā ik ḳhvāb mar gayā
sarmā kī chāñdnī thī javānī guzar ga.ī
jhulsā rahī hai dhuup buḌhāpā Thahar gayā
maiñ raftagāñ kī baat pe be-sāḳhta hañsī
anjām us hañsī kā bhī afsurda kar gayā
tum kah rahe ho hijr meñ martā nahīñ koī
phir kyoñ ġham-e-judā.ī meñ vo hañs mar gayā
ḳhālī galī meñ saare makāñ sochte rahe
is samt jis ko aanā thā vo kis nagar gayā
in pāniyoñ ko tishna-laboñ se gurez thā
chaḌhtī nadī kā mast bahāo utar gayā
thoḌī sī der mil ke bahut der ro liye
phir apne ghar ko maiñ ga.ī vo apne ghar gayā
saudā thā sar meñ duur bahut duur jā baseñ
azm-e-safar kiyā to mirā ham-safar gayā
patthar kī mūrtī banī maiñ dekhtī rahī
ghar pīchhe rah gayā thā vo aage guzar gayā
Top Urdushayar.com