phir sar pe shaam aa ga.ī maiñ rāste meñ huuñ
ik ajnabī saḌak hai kisī hādse meñ huuñ
ik gard-bād hai mujhe hadd-e-nigāh tak
tanhā nahīñ huuñ dhūl-bhare qāfile meñ huuñ
tanhā.iyoñ ne phir tirā chehra pahan liyā
tere baġhair bhī maiñ tire dā.ere meñ huuñ
tū ne to mujh ko aks-e-muqayyad samajh liyā
thoḌī sī der aur tire aa.ine meñ huuñ
merā bhī zikr thā tire dil kī kitāb meñ
qirtās par nahīñ huuñ magar hāshiye meñ huuñ
sau saal mujh pe biite haiñ sūraj bujhe hue
sau saal jaisī raat se maiñ ratjage meñ huuñ
patthar kī mūrtī meñ hai sadiyoñ kā intizār
maiñ bhī asīr-e-jism huuñ aur faisle meñ huuñ
phir be-gharī kā ḳhauf havāoñ meñ ghul gayā
saat āsmān tere haiñ maiñ ghoñsle meñ huuñ