Shahnaz Parveen Sahar

ghubar-e-waqt mein ab kis ko kho rahi hun main

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
ġhubār-e-vaqt meñ ab kis ko kho rahī huuñ maiñ
ye bārishoñ kā hai mausam ki ro rahī huuñ maiñ
ye chāñd puurā thā be-iḳhtiyār ghaTne lagā
ye kyā maqām hai kam-umr ho rahī huuñ maiñ
is abr-e-bārāñ meñ manzar barasne lagte haiñ
baras rahī hai ghaTā baal dho rahī huuñ maiñ
maiñ gard-bād kā ik sar-phirā bagūlā thī
ḳhalā.eñ oḌh ke rū-posh ho rahī huuñ maiñ
ye shaam vaqt se pahle chhupā na de sūraj
sunahrī dhuup meñ chunarī bhigo rahī huuñ maiñ
udaas os meñ gum-gashta āñsuoñ kī kasak
laraztī kāñptī maalā piro rahī huuñ maiñ
ḳhalā meñ kho ga.iiñ bāteñ hañsī kī āvāzeñ
suḳhan-shikasta huuñ alfāz kho rahī huuñ maiñ
maiñ jī rahī huuñ yā jiine kā vahm hai mujh ko
na-jāne jaag rahī huuñ ki so rahī huuñ maiñ
ye zard shaam jo sūraj gañvā.e baiThī hai
'sahar' sitāra-e-aflāk ho rahī huuñ maiñ
Top Urdushayar.com