Shahnaz Parveen Sahar

ek rishta bana raha hai mujhe

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
ek rishta banā rahā hai mujhe
ek rishta miTā rahā hai mujhe
ye diyā chup nahīñ rahā shab bhar
ik kahānī sunā rahā hai mujhe
ab mujhe kiil se laTaknā hai
panting sī banā rahā hai mujhe
ashk āñkhoñ meñ ret sāñsoñ meñ
ishq kyā kyā sikhā rahā hai mujhe
aag kā raag hai ise mat chheḌ
be-ḳhabar kyoñ jalā rahā hai mujhe
lok dhun jaisī kho ga.ī thī maiñ
jaane ab kaun gā rahā hai mujhe
saare dukh sukh ulajh ga.e āḳhir
vaqt sab kuchh bhulā rahā hai mujhe
aag hī aag kā izāla thī
vaqt kundan banā rahā hai mujhe
maiñ nahīñ jāntī burā yā bhalā
kuchh na kuchh yaad aa rahā hai mujhe
har taraf ik pukār suntī huuñ
koī apnā bulā rahā hai mujhe
ek dariyā jo ulTā bahtā hai
saath apne bahā rahā hai mujhe
jaise maiñ ret kā gharauñdā thī
toḌ kar phir banā rahā hai mujhe
bāñdh kar merī donoñ āñkhoñ ko
koī manzar dikhā rahā hai mujhe
mere par kāTne ke baad 'sahar'
ghoñsle se girā rahā hai mujhe
Top Urdushayar.com