Shahnaz Parveen Sahar

jo mauj KHushbuon ki thi gulab se nikal gai

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952

jo mauj ḳhushbuoñ thī gulāb se nikal ga.ī

maiñ muzmahil thī is qadar shabāb se nikal ga.ī

ye zindagī ye ruḳhsatī usī haiñ amānateñ

shikasta jism meñ tire azaab se nikal ga.ī

maiñ likh rahī thī dāstāñ tirā bhī naam aa gayā

kahānī apne aap kitāb se nikal ga.ī

vo lams baḌh rahā thā ab qarīb se qarīb-tar

so maiñ ne faisla kiyā habāb se nikal ga.ī

sharīk dauḌ meñ hue safar bhī aur qayām bhī

to raḳhsh-e-vaqt maiñ tirī rikāb se nikal ga.ī

savāl javāb bhī savāl se degā

jhamelā-sāz maiñ tire sarāb se nikal ga.ī

maiñ mubtalā-e-ārzū thī aarzū se jaag uThī

aur agle pal zindagī hisāb se nikal ga.ī

nirāsh chāñd tīrgī meñ ghul ke shānt ho gayā

'sahar' maiñ niiñd meñ chalī to ḳhvāb se nikal ga.ī

Top Urdushayar.com