Shahnaz Parveen Sahar

dastak hui to sar pe dupaTTa sambhal gaya

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
dastak huī to sar pe dupaTTā sambhal gayā
chhoTā sā ik charāġh mire dil meñ jal gayā
jaate hue rukā hī nahīñ ek pal bhī vo
saare sitāre paañv ke nīche kuchal gayā
tāñbe kī TukḌiyāñ sī bikhartī chalī ga.iiñ
phir dekhte hī dekhte sūraj pighal gayā
bārish kī buuñd buuñd ko tarsā huā thā shahr
āñchal havā kā thaam ke bādal nikal gayā
roTī tave pe sahmī huī dekhtī rahī
chūlhā bhaḌak uThā thā mirā haath jal gayā
hairat hanūz TuuTe hue aa.ine meñ thī
mujh par tirī kamān se kyoñ tiir chal gayā
biite hue dinoñ kā dhuāñ phailtā rahā
yuuñ hī kanār-e-chashm jo aañsū phisal gayā
Top Urdushayar.com