ishq kā ghaav jaan meñ rakh kar bhuul ga.ī
ḳhud ko ātish-dān meñ rakh kar bhuul ga.ī
nargis ke do phuul uThā kar pheñk diye
aur āñkheñ gul-dān meñ rakh kar bhuul ga.ī
kuchh aañsū to āñkhoñ meñ chhup jaate haiñ
kuchh aañsū muskān meñ rakh kar bhuul ga.ī
ghoñsla thā aur shoḳh havā kī Thokar thī
tinke meñ tūfān meñ rakh kar bhuul ga.ī
jis kī ḳhātir shā.irī kartī rahtī thī
ab us ko dīvān meñ rakh kar bhuul ga.ī
kamre meñ kuchh saa.e nāchte rahte haiñ
sūraj raushan-dān meñ rakh kar bhuul ga.ī
kyā khoyā kyā paayā kuchh mat pūchh sakhī
jīvan ik hizyān meñ rakh kar bhuul ga.ī
sāñsoñ kī mazdūrī meñ jo ishq milā
ik shāhī farmān meñ rakh kar bhuul ga.ī
jaltī dhuup meñ chāñd kā tohfa kyā kartī
shāyad maiñ dālān meñ rakh kar bhuul ga.ī
sūraj chāñd bhī jā kar lauT hī aate haiñ
umr isī imkān meñ rakh kar bhuul ga.ī
phuul se rishte pattī pattī bikhre the
patjhaḌ-rut sāmān meñ rakh kar bhuul ga.ī
is lahje kī os meñ jo āñchal bhīgā
ik TuuTe paimān meñ rakh kar bhuul ga.ī
aaj 'sahar' in do hañstī huī āñkhoñ ko
yādoñ ke juzdān meñ rakh kar bhuul ga.ī