Shahnaz Parveen Sahar

jab se pahchan mein nahin hun main

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
jab se pahchān meñ nahīñ huuñ maiñ
ghar ke dālān meñ nahīñ huuñ maiñ
haath se chiiz chhūT jaatī hai
apne ausān meñ nahīñ huuñ maiñ
phuul kumhlā gayā thā pheñk diyā
apne gul-dān meñ nahīñ huuñ maiñ
ek sajde meñ ho chukī tahlīl
shab ke vijdān meñ nahīñ huuñ maiñ
jism ko kaun ghar meñ rakhtā hai
jism huuñ jaan meñ nahīñ huuñ maiñ
maiñ ne ḳhud bhī bhulā diyā ḳhud ko
ab kisī dhyān meñ nahīñ huuñ maiñ
ḳhud hī maqtūl ḳhud hī qātil huuñ
apne tāvān meñ nahīñ huuñ maiñ
aarzū se nikal ke dekh mujhe
ahd-o-paimān meñ nahīñ huuñ maiñ
zindagī ab ghaḌī kī Tik-Tik hai
dil ke asthān meñ nahīñ huuñ maiñ
jo zarūrī thā vo sambhālā hai
apne sāmān meñ nahīñ huuñ maiñ
mujh ko vahshat qubūl kar legī
ab garebān meñ nahīñ huuñ maiñ
zindagī se guzar rahī huuñ 'sahar'
kisī tūfān meñ nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com