ye dastak aur ye dar merā nahīñ hai
ab is bastī meñ ghar merā nahīñ
safar hai aur hī darpesh mujh ko
ye musht-e-ḳhāk ghar merā nahīñ hai
maiñ kis bārūd meñ bikhrī paḌī huuñ
ye dhaḌ merā hai sar merā nahīñ hai
mujhe mere havāle kar gayā hai
to kyā hai vo agar merā nahīñ hai
ye kis āñgan meñ jhuktā jā rahā hai
shajar merā hai ghar merā nahīñ hai
safar hai ḳhvāb meñ sahrā-e-jāñ kā
magar vo ham-safar merā nahīñ hai
maiñ kyoñ us kī kahānī ban ga.ī huuñ
agar vo harf-gar merā nahīñ hai
ajab sī aañch dil tak aa rahī hai
ye shorīda sharar merā nahīñ hai
shab-e-sajda jabīñ par jam gayā kyā
ye dāġh-e-ishq gar merā nahīñ hai
urūs-e-shām rotī phir rahī hai
ye aañsū chashm-e-tar merā nahīñ hai
jo mere saath chaltā jā rahā hai
vo saaya hai magar merā nahīñ hai
'sahar' ye aur hī duniyā hai koī
yahāñ koī bhī Dar merā nahīñ hai