ret se āñdhiy.oñ kā jhagḌā thā
sāñs-dar-sāñs dam ulajhtā thā
vo akelā hī bhiiḌ jaisā thā
vo mire chāroñ or chaltā thā
khel khelā chhupan-chhupā.ī kā
chhupne vaalā kabhī na miltā thā
is baras Dah ga.ī haiñ dīvāreñ
pichhlī bārish meñ mor nāchā thā
surḳh joḌā ḳharīd laa.ī maañ
jaane kin lakḌiyoñ meñ jalnā thā
raat aañsū pahan ke baiTh ga.ī
chāñd chup-chāp taktā jaatā thā
maiñ ne luknat ubuur kar lī thī
an-kahī baat ko samajh liyā thā
zindagī bik rahī thī Thele par
Thele vaalā kahīñ chalā gayā thā
kaalī chādar mujhe aziiz rahī
merā dukh-sukh usī meñ lipTā thā
us ko sūrat badalte dekhā thā
jo mire saare dukh samajhtā thā