din huā aur raushnī hī nahīñ
chāñd niklā to chāñdnī hī nahīñ
beach jañgal meñ raah bhūlī thī
lauT kar ghar kabhī ga.ī hī nahīñ
haal aur maazī ek jaise haiñ
vaqt se merī dostī hī nahīñ
merī āñkhoñ ko le uḌā bādal
aisī bārish huī thamī hī nahīñ
be-sahārā thakan hai aur maiñ huuñ
manzil-e-ishq tak chalī hī nahīñ
kuchh sitāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
kuchh sitāroñ meñ saañs thī hī nahīñ
ye sahar aa.ine meñ kaun hai ab
merī sūrat kabhī milī hī nahīñ