ishq aa ham suuñ kiyā jab raam raam
ham kisī haajī ko nahiñ karte salām
majlis-e-rindāñ meñ zāhid nahiñ sunā
hai sabaq avval vahāñ kā jaam jaam
gar ḳhalāsī hashr kī mañgtā hai tū
riñdgī ke pī mai-e-gulfām faam
pūchhtā hai kyā hamāre ramz ko
be-samajh be-ishq zāhid ḳhaam ḳhaam
gar dikhā deñ yaar ke kākul kā taar
sub.h ko aalam kahegā shaam shaam
āshiqī ke mohkme meñ haiñ nikāt
jān-o-tan aur aql-o-dil sab daam daam
ai 'alīmullāh' zāhid ko latāḌ
fāzilāñ meñ ḳhush machāyā dhūm-dhām