Alimullah

rah mein haq ke azizan aapko qurban karo

Alimullah

raah meñ haq ke azīzāñ aap ko qurbāñ karo
yā nahīñ us par tasadduq apnā jism-o-jāñ karo
sālikāñ kab lag chaloge rah meñ haq ke mor chal
ishq kī tezī ko apne chheḌ kar jaulāñ karo
kaañ talak ḳhātir rakhoge aarzū meñ tañg kar
ġhuncha-dil bād-e-sabā suuñ ishq ke ḳhandāñ karo
aql-e-nafsānī tuman meñ burqa-e-haivān hai
phaaḌ kar parda nazar kā aap ko insāñ karo
ḳhāna-e-dil ko rakho ābād haq kī yaad suuñ
ishq kī ātish suuñ tan ko jaal kar vīrāñ karo
toḌ kar tan ko karo bārīk parde kī misāl
sham-e-nūrānī lagā fānūs-e-tan tābāñ karo
dekhte raho roz-o-shab añkhiyāñ suuñ tum rab kā jamāl
nain kī thālī meñ is ko jyuuñ durr-e-ġhaltāñ karo
pherte raho diid kā mankā nazar ke taar meñ
raat din añkhiyāñ ko apnī is taraf gardāñ karo
Top Urdushayar.com