Alimullah

la-makan lag aashiqan ke ishq ka parwaz hai

Alimullah

lā-makāñ lag āshiqāñ ke ishq kā parvāz hai
āsmān aur arsh-o-kursī un kā pā-andāz hai
ik tafakkur un kā afzal az-tā.at-e-hafta-o-sāl
sab ḳhalā.iq par unhoñ kā is sabab e.azāz hai
ālimāñ aur ābidāñ kī bandagī sab qīl-o-qāl
āshiqāñ ke dil meñ raushan jo ki maḳhfī raaz hai
mūtū-qabla-an-tamūtū haal hai ushshāq kā
ālimāñ ke gosh meñ us harf kā āvāz hai
bul-havas ko sham.a se dil bāñdhnā mumkin nahīñ
āshiqāñ kā is sabab zāhid sadā aġhmāz hai
ḳhair o shar suuñ āshiqāñ be-dil nahīñ aur būjhte
rañj o rāhat ishq meñ ma.ashūq kā sab naaz hai
Tal ga.e is ma.arke suuñ ka.ī hazārāñ ai 'alīm'
jo rahā so naam us kā āshiq-e-jāñ-bāz hai
Top Urdushayar.com