Alimullah

tu hai kis manzil mein tera bol khan hai dil ka Thaar

Alimullah

tū hai kis manzil meñ terā bol khaañ hai dil kā Thaar
dam tirā aatā hai khaañ suuñ bol khaañ jaatā hai bhaar
dam ke ta.iiñ būjhā so kahte is ke ta.iiñ insān hai
nahiñ to sūrat aadmī sīrat meñ hai misl-e-himār
maiñ kahtā so kaun hai aur tū samajhtā hai kise
kyuuñ abas maiñ tū meñ paḌ kar be-abas hotā hai ḳhvār
rāhbar hai kaun terā bol tū kis kā faqīr
faqr kā kyā hāsilā samjhā mujhe mat ho gañvār
āshiqāñ ke bazm meñ ik rañg ho ai bul-havas
mat kahā bulbul naman chauñDā phulā kar tājdār
bahar ke ġhavvās se mat bahs kar ai ḳhām-tab.a
nahiñ gayā hai umr meñ apne tū dariyā ke kanār
kaj-bahas aatā hai karne jañg jab ushshāq suuñ
jyuuñ ki tair-e-haft-rañgī ho gayā aa kar shikār
pūchhtā aayā huuñ jo kuchh svaal kā mere javāb
thartharātā hai abas sīmāb namne be-qarār
tā kahe lag jvaab tujh par faqr kā luqma harām
bazm-e-rindāñ suuñ nikal jā jald-tar ho kar farār
shor aur ġhauġhā abas kartā hai kyuuñ rañg kar libās
muñh uThā jaatā hai jyuuñ be-qaid shutr-e-be-mahār
ai 'alīmullāh' na kar kaj-bahas suuñ svaal o javāb
hāsilā tarfain nahiñ hotā ba-juz ġhauġhā pukār
Top Urdushayar.com