ġhaflat meñ soyā ab tilak phir hovegā hoshyār kab
yaarī lagāyā ḳhalq suuñ pāvegā apnā yaar kab
jhūTī mohabbat bāñdh kar ġhāfil rahā apne suuñ haif
bulbul huuñ sañpḌā daam meñ dekhegā phir gulzār kab
ye ḳhvāb-o-ḳhur farzand-o-zan aur māl-o-zar zindāñ huā
to chhūT kar is qaid suuñ hāsil kare dīdār kab
hirs-o-havā buġhz-o-hasad kibr-o-manī buḳhl o jahal
is rah-zanān suuñ baach kar hovegā bar-ḳhurdār kab
is nafs-e-kāfir-kesh kī ḳhaslat tujhe ma.alūm nahiñ
gar qatl kiitā nahiñ use tujh ko mile dildār kab
bin piir pahuñchā nahiñ kabhī kui sāhil-e-maqsūd ko
mallāh bin kashtī kahīñ hotī hai dariyā paar kab
bar-haq 'alīmullāh' kahā rab qaul yahdī-maiñ-yashā
jannat ke tālib ko kaho aave nazar dīdār kab